Thokarein Insaan ko chalna sikhati hain suna,
Ham Bekhbar, hame Rahbaron pe Aitbar hai.
 
Wo Chaand hain, Khushshakl hain, Aasman me unki Raunak hai,
Fir bhi iska hame Ilm hai ki Unka Daman Daagdar hai.
 
Shaheedon ke Kafan ko Nilam kar Khaddar Kharidi hai,
Ye Siyasatdaan Thehre, Aawam ki Chuni hui Sarkar hai.
 
Hushn -Ishq- Daulat sab kuchh haasil kiya, khoya,
Aye Nazneen ab hame Maan ke Aanchal ki Darkaar hai.
 
Unke Andaz-e-Tagaful se ham yun na Wakif the,
Ki Dudh ke Jale hain, Chhanchh se bhi Hoshiyar hain.
 
Ham Beniyaz, Khamoshi ki Isharat na Samajh Sake,
Aaj bhi tere Hansin Chehre par Tabassum ka Intzar hai.
 
 
Categories: Poetries

0 Comments

Leave a Reply

Avatar placeholder

Your email address will not be published. Required fields are marked *