Hamare chehre se dil ke bhav padh leti ho,
Maan, ye tum khud ho, ya khuda, vishvas nahi hota.
"Ladkon se galatiyan ho jati hain",
Ye mulk ki sarkar chalate hain, vishvas nahi hota.
Manavi sambandhon ki kya banagi dein zanab,
"Old Age Home" khul rahe hain kasbon me, vishvas nahi hota.
Shayar shabd se, pahalwan kad se, aur insan pad se,
pratibha pahchan ki mohtaz hai, vishvas nahi hota.
"Sukh aur dukh ek hi sikke ke do pahlu hain",
Magar, bevaqt me hawayen rukh mod leti hain, vishvas nahi hota.
Vaicharik vividhata samaj ki pragati ka aaina hai,
Kuchh aawazein Khamosh kar di jati hai, vishvas nahi hota.
Kuchh rishtey matlab ke, kuchh matlab ke rishtey,
Ham tumhara kaise yakeen manein, vishvas nahi hota.
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.