Darkar thi ek adad jeet ki tumhe,
Khudi ko khud se haraya karte hain..
 
Rishtey ko ahamiyat dete ho Kunwar’
Paise ki khatir apne paraye ho jate hain..
 
Milta hai Mizaz in Badalon ka tumse Kunwar’
kabhi garaz ke baraste kabhi hawa se rukh badal lete hain..
 
Ek pathhar dil Insan mila, Azad tha, Befikar tha,
Chheni hathauri ki mar padi, but bane jate hain..
 
Zamhuriyat ki samajh muddaton bad aai hame kunwar’
Hamari tarakki ka wasta de hame hi beghar kiye jate hain..
 
Hoga ek katra tere sine me bhi jo mere liye dhadakta,
bas isi intzar me tamam umra guzare chale jate hain..
 
Uljhaya is kadar tumhari yadon ne kunwar,
Tumhe chhod tanhaiyon se Mohabbat kiye jate hain..
 
 
Categories: Blogs

2 Comments

Unknown · July 15, 2012 at 15:51

Awesome Dude. Superlike. Carry on. You have potential to be a good Ghazal writer.

Tryambak Srivastava · January 30, 2013 at 19:44

that was some reading material for you buddy. More to come in order. Wait and watch buddy. 😛

Leave a Reply to Unknown Cancel reply

Avatar placeholder

Your email address will not be published. Required fields are marked *